Naa hai aash na abhilasha
to jeene ki hai yeh kaisi aasha
naa hai agar moh na maaya
to tu jeeta kyun chala aaya
naa mile tuje khushi naa hai yaha pyaar
to har pal hai yeh kisska intazaar
jo tu kahe ki duniyaa acchi nai
to bhi kyun din par din ussi main khotaa chala jaye
naa mile agar tuje uchhaie , aur dhikhee sirf gharii khaaie
tab bhi udththi hui chiriya ko dhek yeh muskaan kyun aaie??
Naa hai ash na abhilasha
to jeene ki hai yeh kaisi aasha?
duniyaa ko tu kahe ki kuch accha nai , aur tu dur jaana chahe
tab bhi unhi main baithe , unhi main gungunaae
tu yeh kyun kahe ki pyaar na hai
bas tuje abhi dhikhaa na hai
uss maa ki mamta main pyaar hai , baap ke phatkaar main bhi
dosto main mazaak hai aur badoo ki daat main bhi
bas ek pyaar karne wala chahiee tuje
jo iss duniyaa ke rang dhiklaae