Tu hai kabhi maa ki pukar ,
to tu kabhi pyaar ki bahaar
Kabhi hai vo pallu, jo apne bacche ko chipaye
to kabhi vo jo pahli raat ko jhalkaye
Kabhi tu subha din ke liye tayaar karati,
to kabhi raat ko pyaar se sulati
Kabhi maa , baap ke kahe pe ek nayi duniya sajati,
to kabhi ussi ko bachhane main puri duniyaa se ladh jati
Tu Kali bhi aur Aisha bhi ,
Tu Mariyam bhi aur Hawua bhi
Tu hai vo jisne sabko janam diya,
aur vo bhi jisne dard main marham diya
Tuje duniya nai naam aurat diya ,
par sab nai tuje maa , behen , pyaar aur dosto main paya
Tere chehre hazaar , tere kaam hazaar ,
har shaks nai tuje alag paya
par afsoos abhi bhi yeh mard tuje na samaj paya
"par afsos abhi bhi ye mard tujhe na samjh paya " ..excellent words!!
ReplyDeleteexactly.... afsos yeh mard ab tak na samaj paya...
Delete