Saturday, 26 January 2013

Saffron, White & Green



Tirange ko thorti, Bhagwa aur hara banati
Yeh bhulte , ki teri maa sang unhe hai palti

Kesari kai rang taleh , kabhi desh, kabhi uskai logo ko jalati
kabhi darati, kabhi dhamkati,
kuch to hai thor chuki, baki jo bacha hai use bhi thorna chati

Hara parcham hai hilatain, sab ko hai yaad dilatain,
bas kuch pal kai liye iss hukumat ko hatao,
phir iss desh ko hai hum bhi jalatain,

Iss Kesari aur Hare ki ladai main,
Safaid ko hai bhul hi jate,
jo bina shor, bina chillaie,
Satya aur Dharma ko yaad dilatain,

Par alag inki zidd , inki alag zaruratain,
yeh phir sai ek alag bhagwa, ek alag hara hai chatain

(Bhagwa : saffron )

No comments:

Post a Comment